Testo Abhi Na Jaao Chhodkar Mohammad Rafi
abhi na jaao chhodkar, ke dil abhi bhara nahi
abhi abhi to aayi ho, bahaar ban ke chhaayi ho
hawa zara mahak to le, nazar zaraa bahak to le
ye shaam dhal to le jaraa, ye dil sambhal to le jaraa
main thodi der jee to loo, nashe ke ghoont pi to loon
abhi to kuch kaha nahi, abhi to kuch suna nahin .
sitaare jhilmilaa uthe, charaag jagamagaa uthe
bas ab naa mujhko tokna, na badh ke raah rokna
don't stop me now, don't block my path
agar main ruk gayi abhi, to jaa na paaoongi kabhi
yahi kahoge tum sadaa, ke dil abhi nahin bharaa
jo khatm ho kisi jagah, ye aisa silsilaa nahin ..
adhuri aans chhod ke, adhuri pyaas chhod ke
jo roz yoon hi jaaogi, to kis tarah nibhaaogi
ke zindagi ki raah mein, jawaan dilon ki chah mein
kayi makaam aayenge, jo hum ko aazmaayenge
bura naa maano baat ka, ye pyaar hain gila nahi
yahi kahoge tum sadaa, ke dil abhee bharaa nahee